Saturday, 10 October 2015
Friday, 9 October 2015
Wednesday, 7 October 2015
Jawani Ko Zindagi Ka Nikhaar Kehte
Jawani Ko Zindagi Ka Nikhaar Kehte
Hain, Pathjad Ko Chaman Ka
Majdhaar Kehte Hain, Ajeeb Chalan
Hain Duniya Ka Yaaro, Ek Dhoka
Hain Jise Hum Sab Pyaar Kehte Hain!
Kasoor na unka tha na mera
Kasoor na unka tha na mera,
Hum dono hi rishton ki rashme nibhate rahe,
Wo dosti ka ahsaas jatate rahe,
Aur hum mohabbat ko dil me chhupate rahe..!!
Zaroori Kaam hai lekin Rozana Bhul jata hu
Zaroori Kaam hai lekin Rozana Bhul jata hu,
Mujhey tum se Mohabbat hai batana Bhul jata hu,
Teri Galion Mein Phirna itna accha Lagta hai,
Mein Rasta Yad Rakhta hun thikana Bhul jata hu,
Bas itni baat per main Logon ko accha nahi lagta,
Mein neki kar tu deta hun Jatana Bhul jata hu.
Tuesday, 6 October 2015
Ek shaam aati hai tumhari yaad lekar
Ek shaam aati hai tumhari yaad lekar,
Ek shaam jaati hai tumhari yaad dekar,
Par hume intezaar hai us shaam ka,
Jo aaye sirf tumhe saath lekar..!!
Mujhko Aisa Dard Mila Jiski Dawa Nahi
Mujhko Aisa Dard Mila Jiski Dawa Nahi..
Phir Bhi Khush Hun Mujhe Us Se Koi Gila Nahi..
Aur Kitne Aansu Bahaun Ab Us Ke Liye..
Jisko Khuda Ne Mere Naseeb Main Likha Hi Nahi.







