जिसने भी की मुहब्बत रोया जरूर होगा,
वो याद में किसी के खोया जरूर होगा।
दिवार के सहारे घुटनों में सिर छिपाकर,
वो ख्याल में किसी के खोया जरुर होगा।
आँखों में आंसुओ के आने के बाद उसने,
धीरे से उसको उसने पोंछा जरुर होगा।
जिसने भी की मुहब्बत रोया जरूर होगा।
Zindagi Bhar Intezar Kiya Maine Jis Lamhe Ka, Aaj Taqdeer Ne Mujhe Wo Lamha Naseeb Kiya Hai. Jis Haseen Ko Mai Roj Khwabo Me Dekha Karta Tha, Aaj Usey Hi Khuda Ne Mujhe Tohfe Me Diya Hai.
Apke naam ko apne honto pe sajaya hain maine,
Apki ruh ko apne dil main basaya hai maine,
Duniya apko dhondte-dhondte ho jayegi pagal,
Dil ke aise kone main chhupaya hain maine..!!
Kabhi Usne Bhi Hume Chahat Ka Paigam Likha Tha,
Sab Kuch Usne Apna Humare Naam Likha Tha,
Suna Hai Aaj Unko Humare Jikar Se Bhi Nafrat Hai,
Jisne Kbhi Apne Dil Par Humara Naam Likha Tha.
Dil Tod Kar Hamara Tumko Raahat Na Milegi,
Hamare Jaisi Tumko Chahat Bhi Na Milegi,
Yun Itni Berukhi Na Dikhlaye,
Hum Agar Rooth Gaye To Humari Aahat Bhi Na Milegi.
Kyun aapki khamoshi mujhe khamosh kar jati hai,
Kyun aapki udasi mujhe udash kar jati hai,
Kya rishta hai mera aur aapka,
Jo har pal aapki yaad aa jati hai.
Kashish toh bahut hai mere pyar mai,
Lekin koi hai pathar dil jo pigalta nahi,
Agar mile khuda to mangungi usko, Suna hai khuda marne se pehle milte nahi.
Kisi ke deedar mai tadapta hai yeh dil,
Kisi ke intezar mai tarasta hai yeh dil,
Kya kamaal ka hai yeh dil,
Khud apna ho kar bhi kisi aur ke liye dhadakta hai yeh dil.
Sabke chehre mei woh baat nahi hoti,
Thode se andhere mai raat nahi hoti,
Zindagi mai kuch log bahut pyare hote hain,
Kya karein unhi se aajkal mulakat nahi hoti…
Chehre Pe Mere Zulf Ko Phailao Kisi Din,
Kya Roz Garajate Ho Baras Jao Kisi Din,
Khushbu Ki Tarah Guzro Mere Dil Ki Gali Se,
Phoolon Ki Tarah Mujh Pe Bikhar Jao Kisi Din.
Tere seene se lag kar teri aarzu ban jaun, Teri sanso se milkar teri khushbu ban jaun, Faasle na rahe koi hum dono ke darmiya, Mai mai na rahu bas tu hi tu ban jaun.
Kaash Aisa Ho Ki Tumko Tumse Chura Lun, Waqt Ko Rok Kar Waqt Se Ek Din Chura Lun, Tum Paas Ho To Is Raat Se Ek Raat Chura Lun, Tum Saath Ho To Is Jahan Se Ye Jahan Chura Lun.
Mere Lafz, Meri Awaaz, Meri Pehchan Tujhse Hai, Mera Dil, Mera Armaan, Meri To Jaan Tujhse Hai. Bhala Konsa Aisa Aks Meri Zindagi Ka Baaki Hai Bata?? Mera Gurur, Meri Shaan, Mera To Imaan Tujse Hai.
Parwah karni he to uski kar jo teri kare zindagi me tujhe jo kabhi tanha na kare jaan banke utar ja tu uski ruh me jo jaan sey bhi jyada tuj se wafaa kare.
Dil me humne tumhaare pyar ki dastaan likhi he, na thodi na tamaam likhi he, kabhi humaare liye bhi dua kar liya karo sanam, humne to har ek saans tumhaare naam likhi he...
Teri surat ne dil ghayal mera kar diya, teri baato ne kya jaadu janemann kar diya, puchti thi tahir tere ghar ka pata, tere gaon walo ne ruswa mujko kar diya...
Roj sochta hun Aaj unse izhar kar denge, magar dar lagta he ki wo inkar kar denge, roj dil kehta he kehde dil ki baat, magar hume lagta ge wo sare Aam badnaam kar denge.
Sukun milta he jab unse baat hoti he hazar raaton me wo ek raat hoti he nigah uthakar jab dekhte he wo meri taraf mere liye wohi pal poori kaaynat hoti he.
Tum dil me na samaate toh bhula dete tumhe tum itna pass na Aate toh bhula dete tumhe yeh kehte huye mera talluq nahi tum se koi Aankhon me Aansu na Aate to bhula dete tumhe.
Talaash karo koi tumhe mil jayega, magar hamari tarha tumhe kaun chahega, zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega, magar Ankhein hamari kaha se layega...
Muskurate palko pe sanam chale Aate he Aap kya jano kaha se hamare gam chale Aate he Aaj bhi uss mod par khade he, jaha kisi ne kaha tha,thehro hum abhi Aate he...
Ghar se bahar collage jane ke lai wo naqaab me nikali sari gali unke piche nikali inkaar karte the wo hamari mohabbat se aur hamari hi tasveer unki kitab se nikali...
Do baante unse ki to dil ka dard kho gaya logo ne humse pucha tumko kya ho gaya bekarar Aankho se hans kar reh gaye ye bhi na keh sake ki hame pyar ho gaya...
Wo keh gaye mera intezar mat karna, me kahu to bhi mera Aitbar mat karna, ye bhi kaha unhe pyar nahi mujse, aur ye bhi keh gaye kisi aur se pyar mat karna.
Woh kya jane pyar ki keemat kya hoti he, jab nahi milta pyar to Aankhe kitna roti he, kabhi na kabhi to woh bhi kisi se dil lagayegi, karegi vo bewafai to meri wafa ki yaad Aayegi...
Nikle jo janaza mera do phool gira dena, milne ki tamnna ho unhe to ye kafan hata dena, muje nind ki izazat bhi unki yaado se leni padti he, jo khud aaram se soye he muje karvato me tanha chod kar...
Bin tere shehar ka shehar viraan rehta he, bichad ke tujse har rasta sunsan rehta he, woh tuje tuj se zyaada pyar karta he jo, tere samne aksar anjaan rehta he...
Aaina humne tod diya is khayal se, ki shayad humari takdir badal jayegi, hame kya pata tha ke tute hua Aaine ke har tukde me fir wahi taswir nazar Aayegi.
Aaj fir dil udas he tujhe yaad karke, tadap raha hu main or tadpa rahi he tu sans banke, ye kaisa tera ishq hai jalim, teri yaade rula jati he hansaa karke.
Wo chehra hum har pal yaad karte he, zinda to he bus zindagi talash karte he, koi kyu bhul jaata he apne banakar, hum khud me wo kami talash karte he...
Dard hai dil me par ehsas nahi hota, rota hai dil jab wo pas nahi hota, barbad ho gaye hum unki mohabbat me, or wo kehte he is tarah se pyar nahi hota...