Tuesday, 24 May 2016

Mera wakht to kat jata he

Mera wakht to kat jata he,
jab uss wakht me bus tum shamil ho.

Rat to kya puri zindagi bhai

Rat to kya puri zindagi bhi,
jaag kar guzar du teri khatir,
bus tu ek bar keh kar to dekh ki,
"muje tere bina nind nahi Aati..."

Dil par nahi hota kaboo kisi ka

Dil par nahi hota kaboo kisi ka
dil kho jaaye to kya kare...
dheeme se koi jadoo chal jaaye
aur pyar ho jaaye to kya kare?

Dariya wafaoo ka kabhi rukta nahi

Dariya wafaoo ka kabhi rukta nahi,
mohabbat me insaan kabhi jukta nahi,
hum chup hai kisi ki khushi ke liye,
aur wo sochte hai dil hamara dukhta nahi.

Zindagi me kuch cheeze

Zindagi me kuch cheeze bhulai nahi ja sakti,
meri zindagi me sab kuch sirf tum hi ho...


Monday, 23 May 2016

Wo nadi nahi Aansu the mere

Wo nadi nahi Aansu the mere,
jinpar wo kashti chalate rahe,
manjil mile ye chahat thi meri,
isliye ham Aansu bahate rahe...

Juth kehte hai log ki mohabbat

Juth kehte hai log ki mohabbat sab kuch cheen leti he,
maine to mohabbat karke gum ka khazana paa liya...

Aansuoo ko palko pe laya na kijiye

Aansuoo ko palko pe laya na kijiye,
dil ki baate har kisi ko bataya na kijiye,
log mutthi me namak liye firte he,
Apna har zakhm kisi ko dikhaaya na kijiye...

Puchha tha haal unhone meri badi muddaton ke baad

Puchha tha haal unhone meri badi muddaton ke baad,
kuch gir gaya he Aankh me keh kar hum ro pade...

Sunday, 22 May 2016

Loha lohe ko kat ta he

Loha lohe ko kat ta he,heera heere ko kat ta he,
Aap ko bhi ek din kutta katega kyo ki,
kutta kisi ko bhi kat sakta he!
B positive yar

Saturday, 21 May 2016

Kaha milega tumhe muj jesa koi

Kaha milega tumhe muj jesa koi,
jo tumhare sitam bhi sahe,
aur tumse mohabbat bhi kare!

Aapki yaado me beeti har wo bat alag he

Aapki yaado me beeti har wo bat alag he,
aapke sath hui wo har mulakaat alag he,
yu to har ek shaks meri zindagi chu lar gaya,
par aapki mulakaat to bat alag he...

Parwah karni hai to uski kar jo teri kare

Parwah karni hai to uski kar jo teri kare,
zindagi me tujhe jo kabhi tanha na kare,
jaan banke utar ja tu uski ruh me,
jo jaan se bhi jyada tuj se wafaa kare...

Humare seene se laga dil na hamara ho saka

Humare seene se laga dil na hamara ho saka,
muskura ke tumne jo dekha,dil tumahara ho gaya!

Friday, 20 May 2016

Maine tumse tumhe manga

Maine tumse tumhe manga!
toh tum muskura diye
tum ye bhi toh keh sakte the ke apni cheezain manga nahi karte...

Badi hasin thi zindagi

Badi hasin thi zindagi
jab na kisi se mohabbat
na kisi se nafrat thi
zindagi me ek aisa mod aaya ki
mohabbat ek se ki aur nafrat duniya se ho gayi...

Mujhe bhi sikha do

Mujhe bhi sikha do bhul jane ka hunar,
Ab mujse raato ko uth uth kar roya nahi jata.

Jinki Aankhe Aansuo se nam nahi

Jinki Aankhe Aansuo se nam nahi
kya samjte ho use koi gum nahi
tum tadap kar ro diye to kya hua
gum chupa ke hasne wale bhi kam nahi...

Gujre dino ki bhuli hui bat ki tarah

Gujre dino ki bhuli hui bat ki tarah
Aankho me jagti hai koi raat ki tarah
usse umeed thi ki nibhayegi sath wo
wo bhi badal gayi mere halat ki tarah...

Hone the jitne khel muqaddar ke ho gaye

Hone the jitne khel muqaddar ke ho gaye
hum tooti naav leke samander ke ho gaye
khushboo mere haath ko chukar chali gayi
hum phool sabko baant kar pathar ke ho gaye...

Thursday, 19 May 2016

Tum thakti nahi thi julm karte karte

Tum thakti nahi thi julm karte karte,
me thakta nahi tha mohabbat karte karte,
mar hi jata me thodi der me,
kya zarurat thi jeher pilane ki marte marte...

Aapki yaad hi meri jaan he

Aapki yaad hi meri jaan he,
shayad iss haqeeqat se aap anjaan he,
mujhe khud nahi pata ki me kaun hu,
aap ka pyar hi meri pehchan he...

Milna he tum se khone se pehle

Milna he tum se,khone se pehle
kehna he tum se,ruthne se pehle
ruthna he tum se,jaane se pehle
or jeena he tumare sath marne se pehle....

Sapno ki duniya me hum khote gaye

Sapno ki duniya me hum khote gaye
hosh me the fir bhi madhosh hote gaye
jane kya jadoo tha uss ajnabi chehere me
khud ko bahut roka fir bhai uske hote gaye....

tere pyar me do pal ki zindagi bahut hai

tere pyar me do pal ki zindagi bahut hai
ek pal ki hansi or ek pal ki khushi bahut hai
yeh duniya mujhe jane ya na jane
teri Aankhe mujhe pehchane yahi bahut hai...

Friday, 6 May 2016

Gurur to nahi karta

Gurur to nahi karta
lekin itna yakin zarur he ki
agar yaad na karonge to bhula bhi na sakonge...

Aap nigaho se nigahe na milaye

Aap nigaho se nigahe na milaye,
nahi to bahut bura hal hoga,
bat agar dil tak Aa jayegi,
to mere hotho pe Aapka gal hoga...

Teri zindgi ke sabhi dukh

"Teri zindgi ke sabhi dukh,
ye keh kar maang liye humne,
A khuda
wo bohat masoom hai uski hifazat karna.


Na pass jane deta hai

Na pass jane deta hai na door us se hone deta hai,
na dil se mere noor uska khone hi deta hai.
na jane kesi likhi hai kismat khuda ne meri,
na dil se muskurane deta hai
na khul ke muje rone deta hai.


Jab bhi unki gali se guzarta hu

Jab bhi unki gali se guzarta hu,
meri Aankhe ek dastak de deti he,
dukh ye nahi wo darwaza bandh kar dete he,
khushi ye he wo muje Aab bhi pehchan lete he...

Mohabbat ka imtihan Aasan nahi

Mohabbat ka imtihan Aasan nahi
pyar sirf pane ka naam nahi
muudte beet jati he kisi ke intzar me
ye sirf pal do pal ka kam nahi...


Tuj jaisi surat duniya me koi n payengi

Tuj jaisi surat duniya me koi n payengi,
tere siwa dil me koi n Aayengi,
tune agar thukra diya mujko to,
mere baigar tu khus n reh payengi...


Usko chaha bhi to izhar karna na Aaya

Usko chaha bhi to izhar karna na Aaya,
kat gayi umar saari hume pyar karna na Aaya,
usne maanga bhai agar kuch to judai mangi,
aur hume inkaar karna na Aaya...


Dil ka dard dil todne vale kya jane

Dil ka dard dil todne vale kya jane,
pyar ke rivajo ko jamana kya jane,
hoti kitni taklif ladki patane me,
ye ghar pe betha ladki ka baap kya jane...

Socha tha iss kadar unko bhul jayenge

Socha tha iss kadar unko bhul jayenge,
dekhakar bhi anadekha kar jayenge,
par jab jab samne Aaya unka chehra,
socha iss bar dekh le,agali bar bhul jayenge...

Jab khamosh Aankho se baat hoti he

Jab khamosh Aankho se baat hoti he,
A se hi mohabat ki sharuAat hoti he,
tumhare hi khayalo me khoye rahte he,
pata nahi kab din aur kab raat hoti he...

Zindagi me bar bar sahara nahi milta

Zindagi me bar bar sahara nahi milta,
bar bar koi pyar se pyara nahi milta,
he jo pass use sambhal ke rakhana,
kho kar wo fir kabhi dubara nahi milta...

Wo rat dard aur sitam ki rat hogi

Wo rat dard aur sitam ki rat hogi,
jis ras rukhsat unki barat hogi,
uth jata hu me ye soch kar nind se aksar,
ke ek ger ki baho me meri sari kaynat hogi....

Aashik marte nahi dafnaye jate he

Aashik marte nahi dafnaye jate he,
Aashik marte nahi dafnaye jate he,
kabrr kholke dekho to intzar me paye jate he....

Wednesday, 4 May 2016

Aaj fir vo baat yaad Aayi

Aaj fir vo baat yaad Aayi
uss haseen raat ki ek kahani yaad Aayi
uss yaad me mujhe ek jalak nazar Aayi
Aankhe band kari to paya
yeh to vahi thi
jiske baare me soch kar
sari rat guzar jaya karti thi...

Ek haseen sa khwab hai tu

Ek haseen sa khwab hai tu,
pyar bhari kitab hai tu,
shayari ka mizaaj hai tu,
mere liye mera Aaj hai tu...

Apne pyar ki Qaid

Apne pyar ki Qaid se tum Azad na karna
mera bhi irada nahi hai reehayi ka

Saath agar doge muskurayenge zarur

Saath agar doge muskurayenge zarur,
pyar agar dil se karoge to nibhayege zarur,
raah me kitne kante Q na ho,
awaz agar dil se doge to Aayenge zarur...

Ishq ne hame benaam kar diya

Ishq ne hame benaam kar diya,
har khushi se hame anjaan kar diya,
hamne to kabhi nahi chaha ke hame bhi mohabbat ho,
lekin Aap ki ek nazar ne hame nilaam kar diya...

Banane wale ne bhi tujhe

Banane wale ne bhi tujhe,
Kisi karan se banaya hoga,
Choda hoga hab zameen par tujhe,
Uske seene mein bhi dard to Aaya hoga...

Zindgi ke safar ko lafzo me piroya hai

Zindgi ke safar ko lafzo me piroya hai,
Apni har gazal ko dard me bhigoya hai,
plz Aaj wah wah na kehna,
kyun ki Aaj fir ye dil kisi ki yaad me roya hai...

Tu Ishq ki doosri

Tu Ishq ki doosri Nishani de de Mujhko,
Aansoo to roz gir ke sukh jate hain.

Ek Choti Si Galti

Ek Choti Si Galti Par Tu Mujhe Chod Gaya.
Jesy Tu Sadiyon Se Meri Galti Ki Talaash Me Tha…!!

Humare Zakhmo Ki Wajah Bhi Woh Hain

Humare Zakhmo Ki Wajah Bhi Woh Hain,
Humare Zakhamo Ki Dava Bhi Woh Hain,
Woh Namak Zakhamo Pe Lagaye Bhi To Kya Hua,
Mohabbat Karne Ki Wajah Bhi To Woh Hain.

Mujhse Na Sahi, Gairon Se Hi Sahi

Mujhse Na Sahi, Gairon Se Hi Sahi,
Tumhein Dil Ko Lagana Aa To Gaya,
Duniya Mein Kisi Ke Tum Ho To Gaye,
Chalo Tumhein Pyaar Nibhana Aa To Gaya.

Kabhi kabhi sapne chur ho jate hain

Kabhi kabhi sapne chur ho jate hain..
Halaat se log dur ho jate hain..
Par kuch yaadein itni haseen hoti hai ki..
Unhe yaad karne ko hum majboor ho jate hain..